Wednesday, December 12, 2007

Parichey

Jeevan ki raah main,
Kabhi na kabhi kathin samay ka parichey hota hain,

Aur tabhi unhi lamho main,
Insaan ka khud se parichey hota hain,

Agar yeh sach hain to,
Phir kyu insaan dukhi hota hain,

Main yeh nahi jaanta ki,
Samay ka pher kyu hota hain,

Bus isi aasha main insaan jeeta hain,
Ki jo bhi hota hain,achcha hota hain,

Yehi samajte huain shalabh ,jeevan ki lay main badta hain
Ki kathin samay main hi,insaan ka charitra uday hota hain
---------------------------------------------------------

Hindi words-English translation

parichey- introduction
charitra- character
uday- rise
aasha - hope
kathin- hard
jeevan ki lay - course of life
samay -time

No comments: