Thursday, December 14, 2006

Wo Chai Tapri* Ki....

Subah se shaam tak ka safar,
Boriyat se frustration tak ka safar,
anjaan se dost hone tak ka safar,
consultant se HR tak ka safar,
Sapne bante jaha,aur sapne sach hote dikhte jaha,
saare dost dil ki baatain kahte jaha,
sab chhoot jaayain par na chhoote wo,
saari duniya simat jaati jaha,
har trip plan hoti jaha,
aisii hi kashish hain us main,
jo baand detee hain sunarha samha,
har lamha lagta hain lamhe ka sumundar,
jindgi jismain lagti ek sunarhee kashti,
jaha lead se manager tak ki frustration basti,
phir bhi hamesha wo hum par hi hasti,
aaj bhi yaad hain aur yaad rahegi uski,
sab bhula dene waali jiski ,ek lambhi chuski,
kasie hi ho chaiye mushkile,phir bhi bulati apne paas,
barsaat main bheegna,dhoop main sikna, tha kuch usmain khaas,
kahi bhi jaaye hum dost ,par wo 4 bajne ka intezzar ,
zindgi bhar yaad karange baar baar,
bhale hi kal hum saath naa ho,par 4 baje ka ahsaas,
hume hamesha rakhega paas paas,aisee hain daastan us ki,
bhule se naa bhula paayenge hum Wo chai.. Tapri ki....


*Tapri-is a common hindi word used for a road side tea stall
-This poem is dedicated to all of our friends who go together
to have tea at 4 pm daily to Tapri which is near to our company campus.

3 comments:

Anonymous said...

fundoo boss...
yaar tune to purane dino ki yaad dila di..
bilkul senti ho gaya isko padhne ke baad...yaar
ye daulat bhi lelo , ye shoharat bhi lelo..
bhale chhen lo mujse meri job.. magar mujko lauta do.. woh din, woh dost aur woh tapri...

Anonymous said...

Aaj ek ajeeb si kashish mujhe yahan tak(is page tak)khinch layee..
Man thoda udaas tha, to mujhe teri yaad aayee..

Gaurav Dhiman said...

Kahan hai bhai aaj kal .... i dont have your mail id with me .... tried to contact sometimed on your CA mail id, I think you left it .... le me know your mail id, or mail me at garavd.chd@gmail.com ..... chal bye, take care and do reply.