Thursday, December 20, 2007

Ek Chutki Code……..!!!!!

The following lines influenced by "Om Shanti Om "appeared to my inbox.I liked it so posting it on my blog.Enjoy!!
-----------------------------------
Ek Chutki code ki keemat tum kya jaano HR Babu?
Ishwar ka ashirwaad hota hai ek chutki code
Developer ke sar ka taj hota hai ek chutki code
Har bench resource ka khwaab hota hai ek chutki code
Bugs ka bhandaar hai ek chutki code
Lead ki shikayat ka adhar hai ek chutki code
Release ke samay ninde udata hai ek chutki code
Nanhe se logic ke liye 1000 line ka hota hai ek chutki code
Back pain karata hai ek chutki code
Tension se takla kar deta hai ek chutki code
Per phir bhi hume salary dilata hai Yeh ek chutki code!!

Thursday, December 13, 2007

Dedicated to my friends Vikas Karol,Vikas Jain, Ashish Paretha who are getting married in early 2008

yaaro ye to khushiyo ka saal hai,
jiski shuruaat hi bemisaal hai,
jigriyo ki shaadiya hain, kya mast mahol hai,
ek taraf Jain ki hian , to ek taraf Karol hai,
arey arey abhi to aur hain, apna paro ka bhi yahi haal hai
hum sabhi dosto ki taraf se,bus yahi dua hai,
khusiya naye bandan ke kadam chume, jis bandan se rishta hua hai,
aayenge jarror naachne teri khusi main dost, jaha dosti jaise suro ki taal hain,
yaaro ye to khushiyo ka saal hai,
jiski shuruaat hi bemisaal hai

Wednesday, December 12, 2007

Parichey

Jeevan ki raah main,
Kabhi na kabhi kathin samay ka parichey hota hain,

Aur tabhi unhi lamho main,
Insaan ka khud se parichey hota hain,

Agar yeh sach hain to,
Phir kyu insaan dukhi hota hain,

Main yeh nahi jaanta ki,
Samay ka pher kyu hota hain,

Bus isi aasha main insaan jeeta hain,
Ki jo bhi hota hain,achcha hota hain,

Yehi samajte huain shalabh ,jeevan ki lay main badta hain
Ki kathin samay main hi,insaan ka charitra uday hota hain
---------------------------------------------------------

Hindi words-English translation

parichey- introduction
charitra- character
uday- rise
aasha - hope
kathin- hard
jeevan ki lay - course of life
samay -time